Monday, February 14, 2005

home sweet home

jab shaam ka ghana saaya pada
rah mein liye suitcase khada
ek lift ki taak mein rah to taktey
kabhi aage to kabhi peeche jhaanktey

aankhon mein ek chamak si thi
hoton ki muskurahat bejhijhak si thi
na koi ticket na koi plan bada
suitcase mein jaane kya saamaan pada

bas utha liye jo aaya haath mein
jo dikha use le chala saath mein
ab to ghar jaa ke hi aaraam hoga
teen dino se pehle na koi kaam hoga

ye haath na ruke ye kadam na toote
aisa sunahara mauka na choote
nikal pada bina kuch soche
koi fikr nahi ki koi kya pooche

India-Australia ka koi match tha
dekhne walo ke man mein romanch tha
kintu use chhodne ka bhi koi gham na tha
ab itna sab sochne ka bhi dam na tha

ban gayi suhaani vo shaam thi
kaam ki bediyon se aazaadi ke naam thi
saath mere Ramji ka saath tha
mere sir par unka unka jo haath tha.

No comments: