Monday, February 14, 2005

Manzil...

zindagi ki nayi raah leke hulchul aayi hai
mujhe nazar mere saamne manzil aayi hai

tanhaiyon mein dube the dil ke sab armaan
lehron pe kashti khwabon ki machal aayi hai

bhatak raha tha main kin anjaan rahon par
vo kaun jo sahi raah par le chal aayi hai

nakamiyon ke veeraano ka mujhpe saaya tha
raah mein jeet ki ik shama jal aayi hai

kya kahe 'aks' us khuda ki meherbaani ka
khud uske dar se (meri) kismat badal aayi hai

No comments: